Chiryan Da Chamba Lyrics song sung by Suraiya Khanum & Anwar Maqsood performed at Coke Studio Season 8, composed by Tufail Niazi, the song is produced by Strings.
Singer: Suraiya Khanum & Anwar MaqsoodBaking Vocals: Momin Durrani, Rachel Viccaji, Sara Haider
Music: Tufail Niazi
Song Writer: Iqbal Haidri
Produced by: Strings
Chiryan Da Chamba Lyrics
Saada chiryaan da chamba
Ve baabula ve
Saada chiryaan da chamba ve baabula
Asaan udd jaana
Asaan udd jaana
Saada chiryaan da chamba ve baabula
Asaan udd jaana
Asaan udd jaana
Saada chiryaan da chamba
Baaba ji, aap ka khatt mila
Yoon laga mere ghar se koyi aa gaya
Aap ka khatt mere haath mein hai
Aisa lag raha hai aap mera haath pakre hue hain
Chhorna nahin
Do din se yahaan baarishen ho rahi hain
Aur main ghar main baithi hui hoon
Apne ghar mein baarish mein kitna nahaati thi
Amma daandti thi mujhe aur mazaa aata tha
Aasmaan ki taraf dekh kar kehti thi
Allah Saahab, aur baarish bhejo
Yaad hai abba ji, ek din bohat baarish ho rahi thi
Aap ko mujhe school chhodna tha
Aapke saaikal ke pahiyye ki hawa nikal gayi
Woh maine nikaali thi
School naheen gai aur baarish mein nahaati rahi
Bhai hamesha mujh se lar kar
Mujhe ghar men le jaata tha
Aur main roti hui aa kar
Aap se lipat jaaya kartithi
Baaba ji yahaan koyi mujh se larta hi naheen
Bohat khaamoshi hai
Main to aap ki laadli thi
Phir mujhe itni door kyun bhej diya
Amma kaisi hai?
Kis ko daant'ti hai?
Chidiyon se baaten kaun karta hai?
Bakriyon ko chaara kaun daalta hai?
Tumhaari pagdi mein kalaf kaun lagaata hai
Bohat kuchh likhna chaahti hoon baabu ji
Likkha nahin ja raha
Tum sab bohat yaad aate ho
Tumhaari laadli
Baithi janj booha mal ke
Baithi janj booha mal ke
Honaa main pardesan bhalke
Ghar diyaan kunjiyaan saambh le maa ni tu
Ghar diyaan kunjiyaan saambh le maa
Asaan udd jaana
Asaan udd jaana
Saada chiriyaan da chamba
Baaba ji naaraaz ho
Agar naheen ho to phir apni laadli ko
Khatt kyun naheen likkha
Bohat saari baaten tumhein bataani hain
Amma se kahne apni hari chaadar
talaash karna chhod de
Woh main ne chupke se apne bakse men rakh li
Jab amma ki yaad aati hai
Main woh chaadar soongh leti hoon
Aur yoon lagta hai main amma ki baanhon mein hoon
Tumne jo qalam bhaai ke paas hone pe usko diya tha
Woh bhi main le aayi
Ab bhaai qalam dhoondega to mujhe yaad kare ga
Tumhaari tooti hui ainak bhi apne saath le aayi
Saara din sheeshe jodne ki koshish karti rahti hoon
Aur tum saamne baithe rahte ho
Baaba ji inhi baaton se to mera din kat jaata hai
Baaba ji maine kal raat main ne ik khawab dekha
Tum amma bhaai sahn mein baithe
Bohat khush nazar aaye
Baba ji magar main udaas ho gayi
Aam ke ped pe jo mera jhoola tha naa
Woh nazar naheen aaya
Tum logon ne aisa kyun kiya, use dalwa do
Main ab bhi ussi jhoole par baithti hoon
Aur kacche aam tod ke khaane lagti hoon
Tum ne achchha naheen kiya baaba ji
Tumhaari laadli
Ambri baabal veer paye takde
Ambri baabal veer paye takde
Likhiyaan nu oh mor naa sakde
Tutt gaye saare ajj maan mere
Tutt gaye saare ajj maan mere
Asaan udd jaana
Asaan udd jaana
Saada chidiyan da chamba
Ve baabula ve..
Saada chidiyan da chamba
Chidiyan da chamba
Chidiyan da chamba
Chidiyan da chamba