Mere Samne Wali Sarhad Pe Lyrics from Aisi Taisi Democracy: The song is sung by Rahul Ram, lyrics are written by Varun Grover & Sanjay Rajoura.
Singer: Rahul RamSong Writer: Varun Grover & Sanjay Rajoura
Mere Saamnewali Sarhad Pe Lyrics
Mere saamne wali sarhad pe
Kehte hai dushman rehta hai
Par gaur se dekha jab usko
Wo toh mere jaisa dikhta hai (x2)
Wahan mulle YouTube ban kare
Yahan pande kissing se ghabraye (x2)
Wahan blasphemy fanda hai
Yahan gaaye se koi na takraye
Yahan raat aur din.. neta maare
Wahan fauj ka bambu rehta hai
Mere saamne wali sarhad pe
Kehte hain dushman rehta hai
Umm...
Yahan aur wahan
Bomb girana aasan hai
Aur Visa milna mushkil hai
Democracy sadd rhi jelon mein
Aur sarkaro mein kaatil hai
Bas do family ki chandi hai
Wahan Bhutto hai
Yahan Gandhi hai
Mere saamnewali sarhad pe
Kehte hain dushman rehta hai
Par gaur se dekha jab usko
Wo toh mere jaisa dikhta hai
Wo toh mere jaisa dikhta hai
Mere Saamnewali Sarhad Pe (Pakistan's Response) Lyrics
Mere saamnewali sarhad pe
Sunte hain ke dushman rehta hai (x2)
70 baras hone ko hain
Kuch ukhda ukhda rehta hai
Mere saamnewali sarhad pe
Sunte hain ke dushman rehta hai
Uski sab filmon gaano mein
Mujhe dehsatgard dikhate hain
Yahan mere school mein teacher bhi
Use dushman keh ke bulate hain
Bhaarat akhand ka paath udhar
Yahan Laal Kile pe jhanda hai
Mere saamnewali sarhad pe
Sunte hain ke dushman rehta hai
Tum Dubai mein bande jama karo
Hum cheen se pyar badhate hain
Tum BJP ko bailet do
Hum mulla se jaan chudate hain
Wahan RSS ki saina hai
Yahan zaid ka manjan bikta hai
Mere saamnewali sarhad pe
Sunte hain ke dushman rehta hai
Gaali dena ab chhod bhi do
Baitho kaam ki baat karein
Kab tak bandook banayenge
Ab bachon ko kuch gyaan bhi dein
Na Bhutto ka na Gandhi ka
Ye tera mera fanda hai
Mere saamnewali sarhad pe
Sunte hain ke dushman rehta hai
Taarikh ka ho itihaas kaho
Bas humse poora sach bolo
Vishe filmein aur aasayein
Topi karwana chhod bhi do
Assal mein ye sab
Kuch gauron ka, kuch arbon ka
Kuch breaking-news ka dhandha hai
Mere saamnewali sarhad pe
Sunte hain ke dushman rehta hai
70 baras hone ko hain
Kuch ukhda ukhda rehta hai
Mere saamnewali sarhad pe
Sunte hain ke dushman rehta hai
Mere Saamnewali Sarhad Pe (Pakistan's Response)